E- Musafir

 "E musafir hai raasta kaha tera
manzil ka hai koi thikana,yaa manzil kee talaash mein chala,
mein daali hu us ped ki,jiski chao mein tu thakaan ko
alvida kah chala||
jab milla to aankho mein talaash,kadmo mein vishwas tha,samete
anubhav ko,sagar kinaare ki talaash mein chala
nahi poochta ki kitnee door aaj tu chala
lekin prashn yahi sada mere ki kya tujhe tera path mila..

Comments